Friday, September 7, 2012

Silsila (1)

"Aaj tak to gham-e-rozgaar se daaman nahin chhuda saka. Aapse milne ke baad shaayad gham-e-dil se rishta ho jaaye."
"Yeh aavaaz kahaan se paayi hai aapne?"
"Yeh khoobsoorti kahaan se laayin hain aap?"
"Savaal ka javaab savaal nahin hota."
"Savaal agar khud javaab ho to savaal savaal nahin rehta."
"Gham se bahut gehra rishta hai aapka."
"Khushi to chand ghadiyon ki mehmaan hoti hai. Gham bahut door tak saath deta hai."
"Kitne tanha hain aap."
"Tanha hona ek baat hai. Tanhaayi ke saath rehna aur baat."

- Amitabh Bachchan and Sushma Seth in Silsila

No comments:

Post a Comment